Na koi 'za' hai aur na 'ba' hai, kuch naheen
Kya mera usse kuch rishta hai? kuch naheen
Kya mera usse kuch rishta hai? kuch naheen
Wo ek tabeeb hai aur ye marz e la ilaaj
Juz nishtar ke aur koi dawa hai? kuch naheen
____ _____ tum kahan meri dastaras mein ho
Koi insaan hai ya koi khuda hai? kuch naheen
Dil o dimaagh o rooh par jo qaabiz rahe
Koi khayaal hai ya koi bala hai? kuch naheen
Main us se kabhi mila to naheen
Khud pe maine hi kuch kia hai? kuch naheen
Maine ye kaise soch lia muhabbat mein hai najaat
Shaana ba shaana kabhi koi hua hai? kuch naheen
Amroha ka hoon, gar Jaun ka waaris naheen
Kya meri bhi kaheen koi faareha hai? kuch naheen
Saadat o Mus'hafi o Jaun o Kaleem jahan rahe
Kya kaha? Ye wo Amroha hai? Kuch naheen
Wo daulat, wo haalat, ye daleelein theek hain apni jagah
Kya wo tumhe ek ghazal likh sakta hai? kuch naheen
____ _____ tumhe jazb kia meri nigah e shauq ne
Tasweer mein tumhara bhi kuch bacha hai? kuch naheen
Tum ek khwaab ho jise main kabhi pa nahin sakta
Kya kabhi khud se bhi koi mila hai? kuch naheen
_____ _____ tum ek alag aasmaan ki ho
kaheen koi ummeed, koi sada hai? kuch naheen
Zabaan mein josh naheen, dil mein dum naheen raha
Shehr mein juz raakh ke kuch bacha hai? kuch naheen
Main kahaan kabhi kaheen raha hoon _____ ______
Poochti ho tum, "Tumhe koi gila hai?" kuch naheen
_____ _____ main saraapa zakhm o aazaar ab naheen
Meri ye nazm koi gila hai ya koi sada hai? kuch naheen
_____ _____ main puraani yaadon ka sawaar to naheen
Aasmaan ka hoon, zameen pe kya rakha hai? kuch naheen
Khud se main miloonga to kya haal hoga mera
Labon pe juz dua ke aur kya raha hai? Kuch naheen
Khuda haafiz ke ab wo maraasim naheen rahe
Haalaat ne ab tak aur to kya kia hai? kuch naheen
-Syed Aalim Akhtar
No comments:
Post a Comment